Vidai

Kyo bina izazat k vidai kr di jati h,

Choti si  Kali ghar s bhej di jati h,

 

nanhi si kali jb ghr me khilti h,

raunak or chahek pahel si lag jati h,

 

sbki ladli si banti h,

Sbse pyari si hoti h,

 

apne andaaz me jeena sikhti h,

aage badhne k lye sb kuch sikhti h,

 

Apno k lye bahut kuch krna chahti h,

vo kali apne lye bhi kuch krna chahti h,

 

Apne upar nirbhar hoke bhi jeena sikhna chahti h,

kuch zindagi me hassil krna chahti h,

 

Par ek din kali murjha si jati h,

Kunki shadi ki baat shuru ho si jati h,

 

Apne ghar k tarike badal s jate h,

Kunki kali apne naye ghar ki or badh chalti h,

 

apne naye vichaaron s ldne lag jati h,

par apne aap ko smjhana bhi sikh jati h,

 

Apne aap ko naye tariko me dhaalne lag jati h,

Kunki apne naye ghr me rhne lag jati h,

 

Aage badhne k sapne apne hi rahe jate h,

apne paraye s or paraye apne s hone lag jate h,

 

Kuch krne ki baat bs us gharvalo k lye rahe jati h,

Apne lye kuch krne ki baat apne purane ghr ki thi aisi rahe jati h,

 

Kuch krne ka jazba abhi bhi kayam h,

Par vo maa baap ka sath pta nhi kha ghum h,

 

aaage bdne k lye abhi bhi kadam tyaar h,

par vo jimedaario k boj tale tham s jate h,

 

Kyo vo kali badhi ho jati h,

Kyo vo kali apne naye ghr ki or chali jati h,

 

Kyo vo kali apne bhai s juda ho jati h,

Kyo vo kali apne mata pita k ghr s prayi ho jati h,

 

Kyo vo murjhai si kali vida ho jati h,

Na jane kyo bina izazat k vidai ho jati h.

 

You might also like More from author